Beautiful Sad Ghazal By Pir Naseer Uddin Naseer
Aa Gayeen Chal Ke Hawae Taray Diwany tak
Ab Yahi Le Ke Chalein Gi Usay Maikhanay Tak
Aake Khud Rasta Kya Karta Hai Jal Jane Tak
Shama Sozaa Kabhi Jati Nahi Parhanay Tak
Ab Nakahat Ka Yeh Aalam Hai Ke Uthte Nahi Haath
Sirf Nazrain Hi Pahonch Sakteen Hain Pemanay Tak
Dhiyaan Zahid Ka Khuda Tak Kisi Soorat Nahi Gaya
Dustarus Thi Usay Tasbeeh Ke Har Danay Tak
Tujh Ko Mein Bhoolay Se Bhi Bhool Sakoon Na Mumkin
Yeh Talluq To Rahay Ga Mere Mar Jane Tak
Raah Dushwaar Nahi Sang Nahi Khaar Nahi
Mutmaen Ho Ke Woh Ayen Mere Ashane Tak
Tum To Apne Thay Nahi Thi Tum Se Yeh Umeed Hamein
Koy Mrta Ho To Aajate Hain Baigane Tak
Aaj Kal Bekhudi Shoq Ka Aalam He Ajeeb
Kahin Mein Aap Nahi Kho Jaoon Tujhe Panay Tak
Mout Barhaq Hai Magar Aakhri Khwahish Yeh Hai
Saans Chalti Rahay Meri Tairy Aajaen Tak
Qadam Uthte Nahi Ab Zeaf Ka Aalam Hai Naseer
Koy Le Jaye Mujhe Thaam Ke Maikhanay Tak
0 Comments