Ghazal Poet Afzal Alahabadi

Ghazal Poet Afzal Alahabadi
Apny Ghar K Daro Diwar Sa Dar Lahta Hai
Ghar Sa Bhair Tery Gulzar Sa Dar Lagta Hai
Fasly Ban Gay Takmilay Muhabbat Ka Sabab
Wasly Jana Sa Rukhy Yarr Sa Dar Lagta Hai
Oski Yadoon Sa He Taskeen Tasawor Karlo
Abb Mujy Mahfilly Dildar Saa Dar Lagta Hai
Sary Tabdeel Howy, Mahar O Wafa K Dastor
Chahny Walo K Abb Pyar Saa Dar Lagta Hai
Thi Kesi Dor Aalilo Ki Ayat Wajib
Lekin Aab, Qurbate Bemar Sa, Dar Lagta Hai
Jinki Amad Ko Samjhty Thay Khuda Ki Rehmat
Easy Mehmano Kae, Assar Sa Dar Lagta Hai
Aab To Lagta Hai Mera Haat Bhi Apna Na Reha
Es lye, Haat Kae Talwar, Sa Dar Lagta Hai
Tan Ke Kapray Bhi Ado, Paiir Ke Jootay Dushman
Sir Pay Pehnay Hue, Dastaar Sa Dar Lagta Hai
Jo Galay Mil Le Meri Jaan Ka Dushman Thahray
Ab, Har Ik, Yaar Wafadar Sa Dar Lagta Hai
Aik Ndeedah Si Hasti Ne Jhnjorha Aisay
Khalq ko, Gunbad O Minaar, Sa Dar Lagta Hai
Ban Ke Majooj, Namodaar Howa, Charon Aur
Uski Yajooj Si, Raftaar Sa Dar Lagta Hai
Ain Mumkin Hai yahan Sab Hon Corona Alood
Shehar Ke koocha O Bazaar Sa Dar Lagta Hai
Khauf aata Ha saheefon Ki Tilawat Sa Ab
Har Risalay Sa, har akhbar se, dar lagta he
Ab To Apnon Sa Musafah Bhi Pur Khatar Hai Azal
Yun Nahi Hai K Faqat Aghyar Sa Dar Lagta Hai
0 Comments